Wednesday, 2 November 2016

Meri ankhon ko bakhshe hen ansu

meri ankhon ko bakhshe hen ansu, dil ko dagh-e-alamm de gaye hen,
is inayat pe qurban jaoon, pyaar manga tha ghum de gaye hen.

(yeh keh karr diay meri qismat mei nalaay,
tumhari amanatt tumhare hawaalay.)

(unki furqat me koi moonis-o-humdum na raha,
ek shab-e-gham jo tanha mere ghar hoti hy)

(zamanay pe un ky karam dekhtay hein,
magar apni qismat ko hum dekhtay hein)

(yeh hamara e dil tha, bemangay jholian unko pyar dia,
un se shikwa nahi, magar dekho, dil dia wo bhi beqarar dia)

(wafaon k badlay jafaa kar rahy hen,
mein kiya kr raha hun wo kia kar rahy hen)

(chain loota dil mera weeran kiya,
bass bigara hy sanwara kuch nahi)

(pher dete hein nazar, dil se bhula dete hen,
kiya yun hi log muhabbat ka sila dete hen)

dene aye thy humko tassali, wo tassali tou kiya hum ko dete,
torr kar kaaba-e-dil hamara, hasraton k sanamm de gaye hen.

dil dharakta hy faryad kartay, aankh darti hy aansu bahatay,
aisi ulfat se wo jatay jatay mujhko apni qasam de gaye hen.

siskiyaan, dharkanein, aah-o-zaari, bekasi, bekalli, beqarari,
do ghari ki mulaqaat me wo itnay ranj-o-alamm de gaye hen,

(aa kar bhi tarpatay hen wo,
jaa karr bhi tarpataay hen)

marhaba mehhkashon ka muqaddar, ab tou peena ibaadat hy Anwar,
aaj rindon ko peene ki dawat waaiz-e-muhtaramm de gaye hen..

meri ankhon ko bakhshe hen aansu, dil ko dagh-e-alam de gaye hen~