Monday, 28 October 2019

Milay gi shaikh ko jannat humein dozakh ataa hoga

Pi k nazron se teri jaam uthaya na gaya,
Aise madhosh huay, hosh mein aya na gaya!

Inhi khush gumanion mein kaheen jaan se bhi na jao
Wo jo chara garr nahin hy ussay zakham kyu dikhao!

Wo kahaniyan adhuri jo na ho sakein gi puri
Unhein main bhi kyu sunaon unhein tum b kyu sunao!

Yeh judaiyon k rastay barri door tak gaye hein
Jo gaya wo phir na aya meri baat maan jao!

Kisi bewafa ki khaatir yeh junoon Faraz kab takk?
Jo tumhein bhula chuka hy ussay tum bhi bhool jao!

Milay gi.....

Milay gi shaikh ko jannat humein dozakh ataa hoga,
Bass itni baat thi jis k liye mehsharr bapaa hoga!

Bataa doon ishqq mein deewana bann janay se kiya hoga,
Wo be-pardaa milein gy, pardaa deewanay se kiya hogaa..

Humein maloom hy hum se suno mehshar mein kiya hoga,
Sub usko dekhtay hongy wo hum ko dekhtaa hogaa..

Jo kho bethay namaz e ishqq mein hosh o hawaas apnay,
Hisab e roz e mehshar aise deewanon se kiya hogaa..

Samjhta kiya hy tu deewangan e ishqq ko Zahid,
Yeh ho jaen gy jis jaanib, ussi janib khudaa hogaa.