Nusrat Fateh Ali Khan
Monday, 28 October 2019
Milay gi shaikh ko jannat humein dozakh ataa hoga
Thursday, 3 August 2017
khabareen raseed im shab (Khusrao)
kharabaram raseed im shab k nigaar khuwahi amad,
(tonight there came a news that you, o beloved, would come)
sar e mann fidaa e rahe ki sawar khuwahi amad!
(be my head sacrificed to the road along which you'll come riding)
ham e ahwan e sehra sarr e khud nihada barr kaf,
(all the gazales of the desert have put their heads in their hands)
ba umeed e aanki rozi ba shikaar khuwahi amad!
(in the hope that one day you'll come to hunt them)
kashishi k ishq daarad naguzaar adat badinsaa,
(the attraction of love won't leave you unmoved)
bajanaza garr na aye, bamazar khuwahi amad!
(should you not come to my funeral, you'll definitely come to my grave)
balabam raseed janam fa biyaa k zinda manam,
(my soul has come on my lips, come! so that i may remain alive)
pass azaaan k mann na maanum, bacha kar khuwahi amad!!
(after i am no longer, for what purpose will you come??)
Ba yak amadan rabudi dil o deen o jaan e Khusro,
(The heart, religion and soul of Khusro have gone upon your one arrival)
Chey shawad agar badeensan do seh baar khuwahi amad!!
(What would happen if you arrive like this twice or thrice)
kalam: Ameer Khusro
Tuesday, 6 June 2017
"assi vekh k surat dilbarr di besurat nu pehchan gaye"
(aqal me jo ghirr gaya wo la inteha kyun kar huwa?
if you people have read the book, Forty rules of love, the 21st rule of love says:
Thursday, 23 March 2017
agar bi nam shabe nagan
(if by chance, one of these nights, i catch a glimpse of the sultan of beauty)
sanam dar pa e mehkhanum, fidaa saazam dil o jaan rah!
(i will lay my head at His feet, sacrificing my heart and soul)
ba girde kaaba k gardum? k roo'ay yar e mann kaaba,
(why should i circle the Kaaba? when my Kaaba is my beloved's visage)
kunam tawwaf e meh khana, ba gonam paa e mastana!
(i circle around the tavern and kiss the feet of drunkards)
Salaam us par k jisne be kaso ki dastgeeri ki
salam us par k jisne badshahi me faqeeri ki!
salam us par k jisne fazal k moti bakhere hein,
salam us par buron ko jisne farmaya k mere hein!
salam us par k jisne bhookay pyaso ko kaba'en deen,
salam us par k jisne galiyaan sun kar duaa'en deen!
salam us par k sachai ki khatir dukh jo khata tha,
salam us par k bhooka reh kar auron ko jo khilata tha!
salam us par k jis k ghar mein chandi thi na sona tha,
salam us par k toota boriya jis ka bichona tha!
Wednesday, 25 January 2017
manam mehv e khayal e oo (Persian)
Tuesday, 17 January 2017
Aaj milkar bhi unse na kuch baat ki
haye majboorian mere halaat ki,
(kuch keh na sakoon, chupp reh na sakoon, haye majboorian meri majboorian)
(nahi maloom tha kis kis tarah na chaar karta hy,
dil usko jaanta hy bewafa pr pyaar karta hy)
(mere hi samne wo pehlu me dushman k bethe hein, haye majboorian)
(suna pehle tou mujhse qissa e ghum phir zubaan kaati,
hamesha k liey tehh karr k rakhh di dastaan meri)
(bus itni c doori yeh mein hu yeh manzil,
kahan aa k phootay hein paon k chalaay)
(zabt karta hu tou ghut'ta hy qafas mein mera damm,
aah karta hun tou sayyaad khata hota hy)
(tum hi ek kia sub zamana khafa hy,
na koi bhala hy na koi bura hy,
yeh mere muqadar ki sari khata hy,
yeh mana koi waqte rahat nahi hy,
magar tumse koi shikhayat nahi hy)
(jis jaga bazam me saqi ne bithaya hy humein,
hath phailaen tou jata nahi paimanay takk)
bakhia ae jaa k dil kyu na khulne lagay,
hijr ki rat phir wo bhi barsaat ki,
(din kata jis tarah kata lekin,
rat kat'ti nazar nahi ati)
(bin piya barsat me munh ko kaleja aye hy,
dil tarap uth'ta hy jab kali badalia chae hy)
(kisi ki shab e wasl sotay katay,
kisi ki shab e hijr rotay katay,
hamari yeh shab kesi shab hy,
k ya rab, na sotay katay na rotay katay)
ALLAH ALLAh majaz e haqeeqat numa,
wo bashar hy k taswwer hy zaat ki,
saqiaa saqiaa jam de jaam de,
sun k aye hein shohrat kharafat ki,
ae Naseer unko apna bana lein gy hum.
koi surat tou nikle mulaaqaat ki~
kalam by: Peer Naseer ud Din Naseer shah