aj milkar bhi unse na kuch baat ki,
haye majboorian mere halaat ki,
(kuch keh na sakoon, chupp reh na sakoon, haye majboorian meri majboorian)
(nahi maloom tha kis kis tarah na chaar karta hy,
dil usko jaanta hy bewafa pr pyaar karta hy)
(mere hi samne wo pehlu me dushman k bethe hein, haye majboorian)
(suna pehle tou mujhse qissa e ghum phir zubaan kaati,
hamesha k liey tehh karr k rakhh di dastaan meri)
(bus itni c doori yeh mein hu yeh manzil,
kahan aa k phootay hein paon k chalaay)
(zabt karta hu tou ghut'ta hy qafas mein mera damm,
aah karta hun tou sayyaad khata hota hy)
(tum hi ek kia sub zamana khafa hy,
na koi bhala hy na koi bura hy,
yeh mere muqadar ki sari khata hy,
yeh mana koi waqte rahat nahi hy,
magar tumse koi shikhayat nahi hy)
(jis jaga bazam me saqi ne bithaya hy humein,
hath phailaen tou jata nahi paimanay takk)
bakhia ae jaa k dil kyu na khulne lagay,
hijr ki rat phir wo bhi barsaat ki,
(din kata jis tarah kata lekin,
rat kat'ti nazar nahi ati)
(bin piya barsat me munh ko kaleja aye hy,
dil tarap uth'ta hy jab kali badalia chae hy)
(kisi ki shab e wasl sotay katay,
kisi ki shab e hijr rotay katay,
hamari yeh shab kesi shab hy,
k ya rab, na sotay katay na rotay katay)
ALLAH ALLAh majaz e haqeeqat numa,
wo bashar hy k taswwer hy zaat ki,
saqiaa saqiaa jam de jaam de,
sun k aye hein shohrat kharafat ki,
ae Naseer unko apna bana lein gy hum.
koi surat tou nikle mulaaqaat ki~
kalam by: Peer Naseer ud Din Naseer shah
No comments:
Post a Comment